Zubaan-e-Dil

Ki Dil Kuch Kehta Hai……

Archive for December, 2007

Kal Aaj Aur Kal

Posted by LAV CHAWLA on December 31, 2007

Pal chinn… kat jaate hain

Yaadon ke woh pal

Apne yaad aate hain

Kal aaj aur kal

Naa ruke zamana

Naa thame yeh kabhi

Dil ki kashih oodhe ud jaate hain hosh kabhi

Afsana dil ka kya kabhi khole kahin

Aaj mausam bhi hain, dastur bhi hain

Phir bhi labhj kam hi pad jaate hain

Registaan ke bawandar main

Raahi kahin kho jaate hain

Aaj us reth ko thamna chahta hun

Mutthi bandh kar wapas lautna chahta hun…

Kya ijazat mile jo kabhi

Khoye hue woh nagme,

Aaj phir gunguna chahta hun

Posted in Blogroll, celebration, Internet, Life, Love, New Year, Poems, POETRY, Shayari, Uncategorized | Leave a Comment »

Rahne do…

Posted by LAV CHAWLA on December 24, 2007

Kuch sapno ko… sapne hi rahne do

Ki khidki ki chatkaniya..banndd hi rahne do

Khushbu pyaar ki kahi ud naa jaaye

Jo mile hum aaj phir kahin bichad naa jaaye

Jeene ke maksad kuch log sikha jaate hain

Ki un logon ko apni yaadon mein hi rahne do

Duniya ki har shakal wahi soorat nahi hoti

Kuch chehron ko, darpan mein hi rahne do…

Aangan ki bediyon mein,

Bachpan ki masumiyat rahne do…

Kahaaniya saari ek sare se judti nahin,

Kuch dhaago ko kachcha hi rahne do…

Posted in Blogroll, celebration, Internet, Life, Love, Poems, POETRY, Shayari, Uncategorized | Leave a Comment »

Udne do Aaj

Posted by LAV CHAWLA on December 9, 2007

Sajne do aaj … ki dil chahta hain

Udne do aaj … jo yeh paana chahta hain

Kahne do aaj … ki phir naa aayega waqt mud ke peeche kabhi

Kahani nahi …. 

Sapna yeh bunana chahta hain

Darpan ki laali bhi aaj … sharmaa jaayegi 

Choot naa jaaye … toot naa jaaye

Gum naa ho jaaye …

Ki baadal mein basaya jo armaan hain 

Zameen ki aaj zarurat kise hain…

Ki … Aaj khud ko jo,

Yeh dhundna chahta hain … 

 

Posted in Blogroll, celebration, Internet, Life, Love, Poems, POETRY, Shayari, Uncategorized | Leave a Comment »